Blog Archives

suno tum laut aao na

suno… tum laut aao,

suno tum laut aao na

dekho ye aankhen bheeg rahi hain,
aur tumhe bhi yaad karti hain,

kab aao ge tum ?
bas yehi faryaad karti hain,

suno…
suno tum laut aao na,

dekho ye dil kitna udaas hai,
kabhi to laut aao ge tum,
isse yehi ek aaas hai,

suno…. meri maano,
ab laut aao….

suno… meri maano ab laut aao,
ke shaam hone ko hai,
aur koi apna door hone ko hai,

mausam ki nazaakat ko samjho tum,
yaadon ki barsaat hone ko hai,

suno….
suno tum kyun humen tadpaa rahe ho ? 😦
yun ho kar hum se judaa kyun humen rula rahe ho ?

dekho hum keh dete hain….
dekho ab hum keh dete hain,
is baar judai seh lete hain,

magar ab ke baras tum na aaye to,
apni yaadon ke diye na bhujaaye to,

hum jee na paayen ge,
suno… hum jee na payen ge,

sach kehte hain, hum marr jayen ge,

suno…. kahin aisa na ho,

kahin aisa na ho ke bohut dair ho jaye,
aur tum jab aao, hum par matti ka dhair ho jaye,

suno tum laut aao…
ke ab bhi waqt hai,

ye dil jab bhi dadakta hai,
ye saans jab bhi chalti hai,

bas ek yehi sadaa nikalti hai,
ke tum laut aao ge,

han.. tum laut aao ge,
shayad, tum laut aao ge…

Shayad tum laut aao ge…!!!!

Anjaam hum ne ishq ka socha tou ro diye..

Urta huwa ghubaar sar-e-raah dekh kar

Anjaam hum ne ishq ka socha tou ro diye..

Koi Zaroorat Nahi Kisi Ko Yaad Aaon Mein

Koi Zaroorat Nahi Kisi Ko Yaad Aaon Mein

Koi Mujhe Yaad Aa Raha Hai Yehi Bohut Hai

Itni shidat se mujhe us shakhs ne manga nadeem

Itni shidat se mujhe us shakhs ne manga nadeem

Dushmani ke baawjood inkaar ki soorat na thi…

Ab bhi baaki hai tumhare dil mein thora sa khaloos

Ab bhi baaki hai tumhare dil mein thora sa khaloos
Is se pehle bhi humain aksar yehi dhoka howa…

Tujhy bhool ker na Bhula sakoon

Tujhy bhool ker na Bhula sakoon
Tujhy chah ker bhi na paa sakoon

Meri Hassraton ko shumaar ker
Meri chaahaton ka silla na de … !

Mohabbat” Phool ki Pat’tioN se Barh Kar Naazuk Thi

“Mohabbat” Phool ki Pat’tioN se Barh Kar Naazuk Thi …….

Jisay QadmoN Talay Osne,Kubhi Ka Roond Dala Hai……..!

Kahaan Tha Itna Azaab Ashna Maira Chehra

Kahaan Tha Itna Azaab Ashna Maira Chehra
Jallay Chiraagh tu Bujhnay Laga, Maira Chehra
Woh Tairay Hijar Kay Din woh Safeer Sadiyon Kay
Tu Un Dinoon mein Kabhi Daikhta Maira Chehra
Judaiyoon Kay Safar Mein Rahay Hain Saath
SadaTairi Talaash,Zamanay, Hawa, Maira Chehra
Mairay Siwa Koi Itna udaas Bhi Tu Na Tha
Khizaan Kay Chand Ko Achaa Laga Maira Chehra
Kitaab Khool Raha Tha Woh Apnay Maazi Ke
Warq Warq Pay Bikharta Gaya Maira Chehra
Sehar Kay Noor Say Dhulti Hoe Tairi Ankhain
Safar Ke Gard Mein Lipta Howa Maira Chehra
Hawa Ka Akhri Boosa Tha Ya Qayamat Thi ?
Badan Ke Shaakh Say Phir Gir Para Maira Chehra
Jissay Bujha Kay Hawa Soogwar Phirti Hai
Woh Shama e Shaam e Safar Thi Keh Maira Chehra
Yeah Loug Kiyon Mujhay Pehchantay Nahi “Mohsin”
Mein Sochta Hoon Kahaan Reh Gaya Maira Chehra ?

Aaney wali ruton ke anchal mein

Aaney wali ruton ke anchal mein
Koi saa’at saeed kya ho gi

Raat ke wakt rang kya pehnoon
Roshni ki kuleed kya hogi

Jabke baadal ki aut laazim ho
Janti hoon, ke deed kya hogi

Zard mausam ki khushk tehni se
Konplon ki umeed kya hogi

Chand ke koi pass bhi sunaney ko
Ab ke koi naweed kya hogi

Gul na hoga to jashne khushbu kya
Tum na ho ge tou eid kya hogi

Mujhe Samjhaya Na Karo

Mujhe Samjhaya Na Karo Ke Ab To Ho Chuki Mujh Ko,
Mohabbat Mashwara Hoti To Tum Se Poch Kar Karte .