Category Archives: * For My Shona *

wo pehlay jaisi wehshaten, wo haal hi nahi raha

wo pehlay jaisi wehshaten, wo haal hi nahi raha,
ke ab to shauk-e-rahat-e- visaal hi nahi raha,

tamaam hasraten, har ek sawaal dafan kar chuke,
hamare paas ab koi sawaal hi nahi raha,

talaash-e-rizq mai ye shaam yun hi guzar gayi,
koi hai apna muntazir, khayal hi nahi raha,

in aate jaate roz – o – shab ki gardsihon ko dekh kar,
kisi ke hijar ka koi malaal hi nahi raha,

hamara kya bane ga, kuch na kuch to is par sochte,
magar kabhi humen ghum-e-maal hi nahi raha,

sanwaarta, nikhaarta mai kaise apne aap ko,
tumhare baad apna kuch khayal hi nahi raha,

zara si baat par dilon mai itna fark aa gaya,
ta’aluqaat ka to phir sawaal hi nahi raha

wo pehlay jaisi wehshaten, wo haal hi nahi raha,
ke ab to shauk-e-rahat-e- visaal hi nahi raha….!!!!

 

 

 

Tarha Tarha Se Bhulaya Magar Ye Haal Hua, Har Ek Khayal Se Paida Tera Khayal Hua…

Tarha Tarha Se Bhulaya Magar Ye Haal Hua,
Har Ek Khayal Se Paida Tera Khayal Hua…

(¯`v´¯)
`·.¸.·´ FASH FOREVER
¸.·´¸.·´¨) ¸.·*¨)
(¸.·´ (¸.·´

Pehle is mein ik adaa thi, naaz tha, andaaz tha, Roothna ab to teri aadat mein shamil ho gayaa..

Pehle is mein ik adaa thi, naaz tha, andaaz tha,
Roothna ab to teri aadat mein shamil ho gayaa..

(¯`v´¯)
`·.¸.·´ FASH FOREVER
¸.·´¸.·´¨) ¸.·*¨)
(¸.·´ (¸.·´

Band hai ankhon mein manzar us ke jate waqt ka

Band hai ankhon mein manzar us ke jate waqt ka,

Nakshh hai tasveer dil per, Kap’kapatey hath ki..

(¯`v´¯)
`·.¸.·´ FASH FOREVER
¸.·´¸.·´¨) ¸.·*¨)
(¸.·´ (¸.·´

Pehle taraasha kaanch se us ne mera wajood

Pehle taraasha kaanch se us ne mera wajood,
Phir sheher bhar ke hath mein pathar thamaa diye..

(thamaa;hand over)

(¯`v´¯)
`·.¸.·´ FASH FOREVER
¸.·´¸.·´¨) ¸.·*¨)
(¸.·´ (¸.·´

Kam Yaad Karoon Usko Meray Haq Mein Yahi Bahtar Hai

Kam Yaad Karoon Usko Meray Haq Mein Yahi Bahtar Hai,
Yah Alfaaz Mujhe Tabeeb Nay Hath Jourr ke Kahe Hain..

(tabeeb;doctor)

(¯`v´¯)
`·.¸.·´ FASH FOREVER
¸.·´¸.·´¨) ¸.·*¨)
(¸.·´ (¸.·´

Aik Ashk Ki Qeemat Ho Agar Aik Hi Paisa

Aik Ashk Ki Qeemat Ho Agar Aik Hi Paisa,
To Suno, Tum Lakhon Ke Maqrooz Ho Mery..!!

(¯`v´¯)
`·.¸.·´ FASH FOREVER
¸.·´¸.·´¨) ¸.·*¨)
(¸.·´ (¸.·´

Uthaa kar choom li hain chand murjhayi huyi kaliyan, Na tum aaye to yu’n jashn-e-baharan kar liya mein ne..

Uthaa kar choom li hain chand murjhayi huyi kaliyan,
Na tum aaye to yu’n jashn-e-baharan kar liya mein ne..

Teri Baatein Hi Sunaane Aaye

Teri Baatein Hi Sunaane Aaye
Dost Bhi Dil Hi Dukhane Aaye

Phool khilte Hain To Ham Sochte Hain
Tere Aane Ke Zamaane Aaye

Aisi Kuch Chup Si Lagi Hai Jaise
Ham Tujhe Haal Sunaane Aaye

Ishq Tanha Hai Sar-e-Manzil-e-Gham
Kaun Ye Bojh Uthane Aaye ?

Ajnabi Dost Hamein Dekh K Ham
Kuch Tujhe Yaad Dilaane Aaye

Dil Dhadakta Hai Safar K Hangam
Kaash Phir Koi Bulaane Aaye

Ab To Rone Se Bhi Dil Dukhta Hai
Shaayad Ab Hosh Thikaane Aaye

Kyaa Kahein Phir Koi Basti Ujdii
Log Kyun Jashn Manaane Aaye ?

So Raho Maut Ke Pehluu Mein ‘Faraz’
Neend Kis Vaqt Na Jaane Aaye

Teri Judai Or Yah July Ki Akhri Raat , Mill Kar Jala Rahe Hain Mujh Ko …!

Teri Judai Or Yah July Ki Akhri Raat ,
Mill Kar Jala Rahe Hain Mujh Ko …!