Category Archives: * Poetry From My Diary *

wo pehlay jaisi wehshaten, wo haal hi nahi raha

wo pehlay jaisi wehshaten, wo haal hi nahi raha,
ke ab to shauk-e-rahat-e- visaal hi nahi raha,

tamaam hasraten, har ek sawaal dafan kar chuke,
hamare paas ab koi sawaal hi nahi raha,

talaash-e-rizq mai ye shaam yun hi guzar gayi,
koi hai apna muntazir, khayal hi nahi raha,

in aate jaate roz – o – shab ki gardsihon ko dekh kar,
kisi ke hijar ka koi malaal hi nahi raha,

hamara kya bane ga, kuch na kuch to is par sochte,
magar kabhi humen ghum-e-maal hi nahi raha,

sanwaarta, nikhaarta mai kaise apne aap ko,
tumhare baad apna kuch khayal hi nahi raha,

zara si baat par dilon mai itna fark aa gaya,
ta’aluqaat ka to phir sawaal hi nahi raha

wo pehlay jaisi wehshaten, wo haal hi nahi raha,
ke ab to shauk-e-rahat-e- visaal hi nahi raha….!!!!

 

 

 

b Ke Hum Bichre To Shayad Kabhi Khwaabon Mein Milain

Ab Ke Hum Bichre To Shayad Kabhi Khwaabon Mein Milain
Jis Tarah Sukhe Huye Phool Kitabon Mein Milain

Dhoond Ujre Huye Logon Mein Wafa Ke Moti
Ye Khazane Tujhe Mumkin Hai Kharabon Mein Milain

Gham-e-Duniya Bhi Gham-e-yaar Mein Shaamil Kar Lo
Nasha Bardhta Hai Sharabein Jo Sharabon Mein Milain

TU Khuda Hai Na Mera Ishq Farishton Jaisa
Dono Insaan Hain Tou Kyun Hijabon Mein Milain ?

Aaj Hum Daar Pe Khainchay Gaye Jin Baaton Par
Kya Ajab Kal Wo Zamaanay Ko Nisaabon Mein Milain

Ab Na Wo Main Hun, Na TU Hai, Na Wo Maazi Hai “Faraaz”
Jaise Do Shakhs Tamannaa Ke Saraabon Mein Milain

 

 

 

Adhoora Khat

Usay maine hi likha tha

K lehjey barf ho jayein
Tou phir pighla nahi kartey

Parinday dar k urr jayin
Tou phir lota nahi kartay

Usay maine hi likha tha
Yaqeen uth jaye tu shayed
Kabhi wapis nahi aata

Hawaon ka koi toofaan
Kabhi barish nahi lata

Usay maine hi likha tha
K sheesha toot jaye tou
Kabhi phir jurr nahi pata
Jo rastey se bhatak jaye
Woh wapas murr nahi pata

Usay kehna woh be`maani adhoora khat
Usay maine hi likha tha
Usay kehna k deewanay
Mukammal khat nahi likhtay…

 

(¯`v´¯)
`·.¸.·´ FASH FOREVER
¸.·´¸.·´¨) ¸.·*¨)
(¸.·´ (¸.·´

Us Ka Apna He Karishma Hai

Us Ka Apna He Karishma Hai, Fasoon Hai, Yoon Hai
Yoon To Kehney Ko Sabhi Kehtey Hein Yoon Hai, Yoon Hai

Jesey Koi Dar-E-Dil Per Ho Satada Kab Se
Aik Saaya Na Daroon Hai, Na Baroon Hai, Yoon Hai

Tum Ne Dekhi He Nahi Dash-e-Wafa Ki Tasweer
Nook-e-Her Khaar Pe Ik Qatra-E-Khoon Hai, Yoon Hai

Tum Muhabbat Me Kahaan Sood-O-Ziyaa’n Ley Aaye
Ishq Ka Naam Khirad Hai, Na Janoo’n Hai, Yoon Hai

Ab Tum Aye Ho Meri Jaan Tamasha Kerney
Ab To Darya Me Talatum, Na Sakoon Hai, Yoon Hai

Nasihaa Tujh Ko Khaber Kia K Muhabbat Kia Hai
Rooz Aa Jata Hai, Samjhata Hai, Yoon Hai, Yoon Hai

Shairy Taza Zamanoon Ki Hai Memaar Faraz
Yeh Bhe Ik Silsila-E-Kunn Faya koo’n Hai, Yoon Hai
—————————–

—————————–
اُس کا اپنا ہی کرشمہ ہے ، فَسوں ہے ، یوں ہے
یوں تو کہنے کو سبھی کہتے ہیں ، یوں ہے ، یوں ہے

جیسے کوئی درِدل پر ہو ستادہ کب سے
ایک سایہ نہ دَروں ہے ، بَروں ہے ، یوں ہے

تم نے دیکھی ہی نہیں دشتِ وفا کی تصویر
نوکِ ہر خار پہ اِک قطرہءِ خوں ہے ، یوں ہے

تُم محبت میں کہاں سُود و زیاں لے آئے
عشق کا نام خِرد ہے نہ جَنوں ہے ، یوں ہے

اب تم آئے ہو میری جان تماشا کرنے
اب تو دریا میں تلاطم نہ سکوں ہے ، یوں ہے

ناصحا تُجھ کو خبر کیا کہ محبت کیا ہے
روز آجاتا ہے سمجھاتا ہے کہ یوں ہے ، یوں ہے

شاعری تازہ زمانوں کی ہے معمار فراز
یہ بھی اِک سلسلہءِ کُن فَیَکوں ہے ، یوں ہے

Maangay Hai Mujhse Dil Teri Saari Nishaanian

Maangay Hai Mujhse Dil Teri Saari Nishaanian
Baatain Puraanian Wohi Raatain Suhaanian

Un Per Tou Farz Hain Mere Harfon Ke Zaaiqay
Ab Jin Ko Aagayein Badi Baatain Bananian

Ay Ishq Aa Phir Se Koi Tajurba Karain
Mein Bhoolnay Laga Hun Puraani Kahanian

Wo Tere Qehqahay Thay Ke Jaisay Hujoom Mein
Tootain Kalaion Mein Khanakti Kamaanian

Ye Mere Ashq Hain Ke Paharon Mein Jis Tarah
Royein Basant Rut Mein Nadi Ki Rawaanian

Maango Dua Ke Khelti Khilti Rahain Sadaa
Sheheron Ki Dulhanain Meri Basti Ki Raanian

Mohsin Ko Kuch Tou Had-e-Sitam Ka Suraagh De ?
Kab Tak Raqam Karuun Mein Teri Meherbaanian

AGAR KABHI MERI YAAD AAYE…

AGAR KABHI MERI YAAD AAYE…
TO CHAND RATOON KI NURM DILGEER ROSHNI MAIN

KISI SITAREY KO DAIKH LAINA
AGAR WOH NAKHL-E-FALAK SE URH KAR

TUMHAREY QADMOON MAIN AA GIREY TO
YEH JAAN LAINA, WOH ISTA’AARA THA MERE DIL KA

AGAR NA AAYE…

MAGAR, YEH MUMKIN HI KIS TARAH HAI
KAY TUM KISI PAR NIGAAH DALO

TO USS KI DIWAR-E-JAAN NA TOOTEY…
WOH APNI HASTI NA BHOOL JAYEY…

GURAIZ KARTI HAWA KI LEHROON PE HAATH RAKHNA
MAIN OOS QATROON KAY AAINOON MAIN TUMHAIN MILOON GA,

MUJHE GULABOON KI PATTIYOON MAIN TALASH KARNA
AGAR SITAROON MAIN, OOS QATROON MAIN,

KHUSHBO’OON MAIN NA PAO MUJH KO,
TO APNE KADMOON MAIN DAIKH LAINA

MAIN GURD HOTI MUSAFATOON MAIN TUMHAIN MILOON GA
KAHIN PEY ROSHAN CHIRAGH DAIKHO, TO JAAN LAINA

K HAR PATINGAY KAY SAATH MAIN BHI BIKHAR CHUKA HOON
TUM APNEY HAATHOON SEY IN PATINGOON KI,

KHAAQ DARYA MAIN DAAL DAINA…
MAIN KHAAQ BAN KAR SAMANDAROON MAIN SAFAR KAROON GA,

KISI NA DAIKHEY HOYE JAZEERAY PE,
RUK K TUM KO SADAIN DOON GA

SAMANDAROON K SAFAR PE NIKLO TO USS JAZEERAY PE BHI UTARNA…

~AMJAD ISLAM AMJAD~

Mera kuch saamaan tumhare paas pada hai

Mera kuch saamaan tumhare paas pada hai -2
o o o ! saavan ke kuch bheege bheege din rakhe hain
aur mere ik khat main lipti raat padi hai
vo raat bhulaa do, mera vo saamaan lauta do – 2
mera kuch saamaan tumhaare paas pada hai – 2

patjhad hai kcuh … hai na ?
o ! patjhas main kuch patton ke girne kee aahat
kaanon main ek baar pahan ke laut aai thee
patajhad kee vo saakh abhi tak kaanp rahi hai
vo saakh gira do, mera vo saamaan lauta do – 2

ek akeli chhataree main jab aadhe aadhe bheeg rahe the – 2
aadhe sookhe aadhe geele, sukha to main le aaye thee
geela man shayad bistar ke paas pada ho
vo bhijwa do, mera vo saamaan lauta do

ek so sola chaand ki ratain ek tumhare kaandhe ka til – 2
geeli mahendi ki khushbu, jhoot mooth ke shikwe kuch
jhooth mooth ke wade sab yaad karaa do
sab bhijwa do, mera vo saamaan lauta do – 2

ek ijaazat de do bas, jab isako dafanaaungee
main bhi vaheen so jaungee
main bhi vaheen so jaungee

Khumaari Chadh Ke Utar Gayi

(khumari chadh ke utar gayi
zindagi yun hi gujar gayi) – 2
kabhi sote sote kabhi jaagte
khwaabon ke pichhe yu hi bhaagte
apni toh saari umar gayi – 2
khumari chadh ke utar gayi
zindagi yun hi gujar gayi

(rangeen bahaaron ki khwaahish rahi
haath magar kutch aaya nahi) – 2
kehne ko apne the saathi kai
saath kisine nibhaya nahi – 2
koi bhi hamsafar nahi
kho gayi har dagar kahi
kabhi sote sote kabhi jaagte
khwaabon ke pichhe yu hi bhaagte
apni toh saari umar gayi – 2
khumari chadh ke utar gayi
zindagi yun hi gujar gayi

(logon ko aksar dekha hai
ghar ke liye rote hue) – 2
ham toh magar beghar hi rahe
gharwalon ke hote hue – 2
aaya apna nazar nahi – 2
apni jahaa tak nazar gayi
kabhi sote sote kabhi jaagte
khwaabon ke pichhe yu hi bhaagte
apni toh saari umar gayi – 2
khumari chadh ke utar gayi
zindagi yun hi gujar gayi

(pehle toh ham sun lete the
shor mein bhi shehnaaiya) – 2
ab toh hamko lagti hai
bheed mein bhi tanhaaiya
jeene ki hasrat kidhar gayi – 2
dil ki kali bikhar gayi
kabhi sote sote kabhi jaagte
khwaabon ke pichhe yu hi bhaagte
apni toh saari umar gayi – 2
khumari chadh ke utar gayi
zindagi yun hi gujar gayi

Zindagi se darrte ho? Zindagi to tum bhi ho

Zindagi se darte ho
Zindagi to tum bhi ho
Zindagi to hum bhi hain
Aadmi se darte ho
Aadmi to tum bhi ho
Aadmi to hum bhi hain
Tum abhi se darte ho

Aadmi zabaan bhi hai
Aadmi bayaan bhi hai

Harf aur maani ke rishta haaye aahan se
Aadmi hai waabasta
Aadmi ke daaman se zindagi hai waabasta
Us se tum nahi darte ho

Ankahi se darte ho
Jo abhi nahi aayi
Us gharri ki aamad ki
Aagahi se darte ho
Tum abhi se darte ho

Pehle bhi to guzre hain
Daur na rassai ke
Be-riya khudaai ke
Phir bhi yeh samajhte ho
Hech aarzumandi
Yeh shab e zubaan bandi
Hai rah e khudaawandi
Tum yehi samajhte ho

Tum mager yeh kya jaano
Lab agar nahi hilte
Haath jaag uthte hain
Haath bol uthte hain
Subh ki azaan ban kar

Roshni se darte ho
Roshni to tum bhi ho
Roshni to hum bhi hain
Tum abhi se darte ho

Raah- e- shauq mein jaise
rahru ka khoon lapke
Ek nayaa junoon lapke
Aadmi chhalak uthe
Aadmi hanse dekho
shaher phir base dekho
Tum abhi se darte ho

Tujhe Kho Kar Bhi Tujhe Paaon

 

Tujhey kho kar bhi tujhay paaoon jahan tak dekhun
Husn-e- yazdan sey tujhey husn-e-butan tak dekhun
tu ney yun dekha hai jaisay kabhi dekha hi na tha
Main to dil men teray qadmon k nishaan tak dekhun
Sirf iss shoq sey poochi hain hazaaron baatein
Main tera husn, teray husn-e-bayan tak dekhun
Meray veerana-e-jaan mai teri yaadon k tufail
Phool khiltay nazar aatay hain, jahan tak dekhun
Waqt ney zehan men dhudhla diye teray khad-o-khaal
Yun to main toot’tay taaron ka dhuwan tak dekhun
Dil gaya tha to yeh aankein bhi koi lay jata
Main faqt aik hi tasveer kahan tak dekhun
Ik haqeqat sahi, firdos men huuron ka wajood
Husn-e-insaan sey nimatt lun to wahan tak dekhun