Category Archives: Ibn-e-Insha

chal diye uth k su-e-shahar-e-wafa ku-e-habib

chal diye uth k su-e-shahar-e-wafa ku-e-habib
puch lena tha kisi khak basar se pehle

ishq pehle bhi kiya hijr ka gam bhi dekha
itne tarpe hain na ghabraye na tarse pehle

ji bahalta hi nahin ab koi saat koi pal
rat dhalti hi nahin char pahar se pehle

ham kisi dar pe na thithak na kahin dastak di
saikaron dar the meri jan tere dar se pehle

chand se ankh mili ji ka ujala jaga
ham ko so bar hui subah sahar se pehle

Insha G utho ab kooch karo..

Insha G utho ab kooch karo..
Iss shehr me g ka lagana kya

Wehshi ko sukoon se kya matlab
Jogi ka nagar me thikana kya

Iss dil k darida daman me
Dekho to sahi socho to sahi

Jis jholi me sou chhaid huay
Uss jholi ka phailaana kya

Shab beeti,chaand bhi doob chala
Zanjeer parri darwazy par

Kyun dair gaey ghar aaey ho
Sajni se karo gay bahaana kya

INSHA G utho ab kooch karo
Iss shehr me G ka lagaana kya…

Dil hijr k dard se bojhal hai, ab aan milo to behter hai,

Dil hijr k dard se bojhal hai, ab aan milo to behter hai,
Is baat se hum ko kya matlab, yeh kaise ho yeh kyun kar ho?

Ik bheek k donon kaasay hain, ek pyaas k donon pyaase hai,
Hum khaiti hain, tum baadal ho, hum nadiya hain tum saagar ho!

Yeh dil hai k jalte seene mein, ik dard ka phora alhar sa,
Na gupt rahe na phoot bahe, koi marham ho koi nishtar hai,

Hum saanjh samay ki chhaya hain, tum charhti raat k chandar maan
Hum jaate hain, tum aate ho, phir mail ki soorat kyun kar ho!

Ab husn ka rutba aali hai, ab husn se sehra khaali hai,
Chal basti mein banjaara ban, chal nagri mein saudagar ho,

Jis cheez ki tujh ko nisbat hai, jis cheez ki tujh ko chahat hai,
Woh sona hai woh heera hai, woh maati ho ya kankar ho,

Ab Insha ji ko bulana kya, ab pyar k deep jalana kya
Jab dhoop aur chhaya ek se hon, jab din aur raat barabar ho,

Woh raaten chaand k saath gayin, woh baatein chaand k saath gayin,
Ab sukh k sapne kya dekhein, jab dukh ka sooraj sar par ho…

(Judai:Separation)(Mail:Meet)(Phora:Pimple)(Rutba:Stage,Level)

Dil dard ki shidat se hoon gashta wasi para,

Dil dard ki shidat se hoon gashta wasi para,
Is sheher mein mein phirta hai ik wehshi o awaara,
Shaayer hai ke aashir hai, Jogi hai ke banjaara,

Darwaza khula rakhna,

Seeney se ghataa uthey, ankhon se jharri barse,
Phaagan ka nahin badal, jo chaar ghari barse,
Barkha hai yeh bhadon ki, Barse to bari barse,

Darwaza khula rakhna,

Ankhon mein to ik aalam, Ankhon mein to dunya hai,
Honthon pe magar mohrain, Mu’n se nahin kehta hai,
Kis cheez ko kho betha, Kya dhoondne nikla hai,

Darwaza khula rakhna,

Haan thaam mohabbat ki gar thaam sake dori,
Sajan hai tera saajan, Ab tujh se to kya chori,
Yeh jis ki manaadi hai basti mein teri gori,

Darwaza khula rakhna,

Shikwon ko utha rakhna, Ankhon ko bacha rakhna,
Ik shamma dareechey ki chokhat pe jala rakhna,
Mayoor na phir jaye, Haan paas wafaa rakhna,

Darwaza khula rakhna,
Darwaza khula rakhna.

Ab Umer Ki Naqdi Khatam Hui

Ab Umer Ki Naqdi Khatam Hui
Ab Hum Ko Udhar Ki Hajat Hai
Hai Koi Jo Sahookar Bane?
Hai Koi Jo De-wan Haar Bane?
Kuch Saal, Maheene Din Logo!
Par Sood Biyaj Ke Bin Logo!

Haan. Apni Jaan Ke Khazanay Se
Haan, Umer Ke Tosha-khanay Se
Kia Koi Bhi Sahookar Nahi?
Kia Koi Bhi Dewanhaar Nahi?
Jab Naam Udhar Ka Aya Hai
Kion Sab Ne Sar Ko Jhukaya Hai

Kuch Kaam Humein Nimtanay Hain
Jinhain Jaan-ne Walay Janay Hain
Kuch Pyar Dular Ke Dhandhe Hain
Kuch Jag Ke Dosre Phande Hain
Hum Maangte Nahi Hazar Baras
Dus Paanch Baras Do Chaar Baras
Haan, Sood Biyaj Bhi De Lain Ge
Haan Aur Khiraj Bhi De Lain Ge

Asaan Bane, Dushwar Bane
Par Koi To Dewanhaar Bane
Tum Kaun, Tumhara Naam Hai Kia?
Kuch Hum Se Tum Ko Kaam Hai Kia?
Kion Iss Majmay Main Ai Ho?
Kuch Mangti Ho? Kuch Lai Ho?
Ye Karobaar Ke Bateein Hain
Yeh Naqd Udhar Ke Baatein Hain
Hum Beythe Hain Kashkol Liey
Sab Umrr Ke Nakdi Khatam Liey

Ger Sher Ke Naatay Ai Ho
Tab Samjho Jald Judai Ho
Ab Geet Gaya Sangeet Gaya
Haan Sher Ka Mausam Beet Gaya
Ab Putjhur Aye Paat Girain
Kuch Subh Girain, Kuch Raat Girain
Ye Apne Yaar Puranay Hain
Ek Umer Se Hum Ko Jane Hain
In Sab Ke Paas Hai Maal Buhat
Haan Umer Ke Mah-o-saal Buhat
In Sab Ko Hum Ne Bulaya Hai
Aur Jholi Ko Pheylaya Hai
Tum Jao Tou Unn Se Baat Karain
Hum Tum Se Na Mulakat Karain

Kia Paanch Baras?
Kia Umer Apne Ke Paanch Baras?
Tum Jaan Ki Theli Laai Ho?
Kia Pagal Ho ? Soadai Ho?
Jab Umer Ka Akhair Ata Hai
Her Din Sadd-yaan Ban Jata Hai
Jeene Ki Hawas He Nirali Hai
Hai Kaun Jo Iss Se Khale Hai

Kia Maut Se Pehle Marna Hai?
Tum Ko To Buhat Kuch Kerna Hai
Phir Tum Ho Humhare Kaun Bhala
Haan Tum Se Humhara Kia Rishta?
Kia Sood Biyaaj Ka Lalach Hai??
Kissi Aur Khiraj Ka Lalach Hai?
Tum Sohni Ho Mann-mohni Ho
Tum Ja Ker Poori Umer Jiyo

Ye Panch Baras, Ye Chaar Baras
Chhin Jayein To Lagain Hazar Baras
Sab Dost Gaye Sab Yaar Gaye
Thay Jitne Sahookar Gaye
Bas Ek Ye Naari Baithi Hai!
Ye Kaun Hai? Kia Hai? Kaise Hai?
Haan Umer Humain Darkar Bhi Hai!
Haan Jeene Se Humain Piyar Bhi Hai

Jub Maangain Jivan Ki Gharian
Gustaakh Akhian Kite Ja Larian
Hum Qerz Tumhain Lauta Den Ge
Kuch Aur Bhi Ghar-ian Laadain Ge
Jo Saa-at-e-Maah-o-Saal Nahi
Wo Gharian Jin Ko Zawaal Nahi
Lo Apnay Ji Main Utaar Lia
Lo Hum Ne Tum Se Udhaar Lia

Is Sheher Mai Jee Ka Lagana Kya

Insha G utho ab kooch karo..
Iss shehr me g ka lagana kya
Wehshi ko sukoon se kya matlab
Jogi ka nagar me thikana kya
Iss dil k darida daman me
Dekho to sahi socho to sahi
Jis jholi me sou chhaid huay
Uss jholi ka phailaana kya
Shab beeti,chaand bhi doob chala
Zanjeer parri darwazy par
Kyun dair gaey ghar aaey ho
Sajni se karo gay bahaana kya
INSHA G utho ab kooch karo
Iss shehr me G ka lagaana kya…

Jog bijog ki baten jhuthi sab ji ka bahalana hoi

Jog bijog ki baten jhuthi sab ji ka bahalana ho
Phir bhi ham se jate jate ek Gazal sun jana ho
  
Sari duniya aql ki bairi kaun yahaN par sayana ho
Nahaq nam dharen sab ham ko divana divana ho
  
Tum ne to ik rit bana li sun lena sharmana ho
Sab ka ek na ek Thikana apana kaun Thikana ho
  
Nagari nagari lakhon dvare har dvare par lakh sukhi
Lekin jab ham bhul chuke hain daman k







Rat ke Khvab sunayen kis ko rat ke Khvab suhane the

Rat ke Khvab sunayen kis ko rat ke Khvab suhane the

Dhundhale dhundhale chehare the par sab jane pahachane the 
  
Ziddi vahashi alhaD chanchal mithe log rasile log 
Honth un ke Gazalon ke misare aNkhon men afsane the 
  
Ye laDaki to in galiyon men roz hi ghuma karati thi 
Is se un ko milana tha to is ke lakh bahane the 
  
Ham ko sari rat jagaya jalate bujhate taron ne

Kal chaudhavin ki rat thi shab bhar raha charcha tera

Kal chaudhavin ki rat thi shab bhar raha charcha tera 
Kuch ne kaha ye chand hai kuch ne kaha chehara tera 
  
Ham bhi vahin maujud the ham se bhi sab pucha kiye 
Ham hans diye ham chup rahe manzur tha parda tera 
  
Is shahar men kis se milen ham se to chuti mahafilen 
Har shakhs tera nam le har shakhs divana tera 
  
Kuche ko tere chod kar jogi hi ban jayen magar

Us sham vo rukhsat ka saman yad rahega

Us sham vo rukhsat ka saman yad rahega

Vo shahar vo kucha vo makan yad rahega 
  
Vo Tis ki ubhari thi idhar yad rahegi 
Vo dard ke utha tha yahan yad rahega 
  
Ham shauq ke shole ki lapak bhul jayenge 
Vo shama-e-fasurda ka dhuan yad rahega 
  
Kuch mir ke abyat the kuch faiz ke misare