Category Archives: Ehsaan Danish
sirf ashk-o-tabassum main uljhe rahe
sirf ashk-o-tabassum main uljhe rahe
hamne dekha nahin zindagi ki taraf
rat dhalte jab un ka khayal a gaya
tik-tiki bandh gai chandani ki taraf
kaun sa jurm hai,kya sitam ho gaya
ankh agar uth gai, ap hi ki taraf
jane vo multafit hon kidhar bazm main
ansuon ki taraf ya hansi ki taraf
nazar fareb-e-kaza kha gai to kya hoga
nazar fareb-e-kaza kha gai to kya hoga
hayat maut se takara gai to kya hoga
nai sahar ke bahut log muntazir hain magar
na-i sahar bhi kajla gai to kya hoga
na rahnumaon ki majalis main le chalo mujhko
main be-adab hun hansi a gai to kya hoga
gam-e-hayat se beshaq hai khudkushi asan
magar jo maut bhi sharma gai to kya hoga
shabab-e-lala-o-gul ko pukaranevalo
khizan-sirisht bahar a gai to kya hoga
ye fikr kar k is asudagi k dhoke main
teri khudi ko bhi maut a gai to kya hoga
khushi chini hai to gam ka bhi aitamad na kar
jo ruh gam se bhi ukta gai to kya hoga
pursish-e-gam ka shukriya, kya tujhe agahi nahin
pursish-e-gam ka shukriya, kya tujhe agahi nahin
tere bagair zindagi dard hai, zindagi nahin
daur tha ek guzar gaya, nasha tha ek utar gaya
ab vo muqam hai jahan shikva-e-berukhi nahin
tere siva karun pasand kya teri qayanat main
donon jahan ki neamaten, qimat-e-bandagi nahin
lakh zamana zulm dhaye, vaqt na vo Khuda dikhaye
jab mujhe ho yaqin k tu hasil-e-zindagi nahin
dil ki shaguftagi k sath rahat-e-maykada gai
fursat-e-maykashi to hai, hasarat-e-maykashi gai
zaKhm pe zaKhm khake ji, apne lahu ke ghunt pi
ah na kar, labon ko si, ishq hai dilagi nahin
dekh ke khushk-o-zard phul, dil hai kuch is tarah malul
jaise teri khizan k bad, daur-e-bahar hi nahin
kabhi mujh ko sath lekar, kabhi mere sath chal kar
kabhi mujh ko sath lekar, kabhi mere sath chal kar
vo badal gaye achanak meri zindagi badal kar
huye jis pe meharaban tum koi khushnasib hoga
meri hasraten to nikalin mere ansuon main dhal k
teri zulf-o-ruKh k qurban dil-e-zar dhundta hai
vahi champai ujale vahi surmai dhundalake
koi phul ban gaya hai koi chand koi tara
jo chirag bujh gaye hain teri anjuman main jal k
mere dosto Khudara mere sath tum bhi dhundo
vo yahin kahin chupe hain mere gam ka rukh badal k
teri bejhijhak hansi se na kisi ka dil ho maila
ye nagar hai ainon ka yahan sans le sambhal k
yun na mil mujh se khafa ho jaise
yun na mil mujh se khafa ho jaise
sath chal mauj-e-saba ho jaise
log yun dekh kar hans dete hain
tu mujhe bhul gaya ho jaise
ishq ko shirk ki had tak na barha
yun na mil hamse Khuda ho jaise
maut bhi ai to is naz k sath
mujh pe ehsan kiya ho jaise
aise anjan bane baithe ho
tum ko kuch bhi na pata ho jaise
hichkiyan rat ko ati hi rahin
tu ne phir yad kiya ho jaise
zindagi beet rahi hai “danish”
ek bejurm saza ho jaise