Category Archives: My Favorite

Bichar gaya hai jo ab us ka malaal kya karna

Bichar gaya hai jo ab us ka malaal kya karna,
Ab us ki yaad mein jeena muhaal kya karna,

Mein janta hoon ke woh bewafa na maaney ga,
Wohi jawab miley ga, Sawal kya karna,

Tu hijar de gaya aur pyar ko bhula betha,
Woh bewafa tha ab us ka khayal kya karna,

Usey bhulana hi Arshad teri bhalayi hai,
Dil-e-tabaah ko ab hasta haal kya karna..

(¯`v´¯)
`·.¸.·´ FASH FOREVER
¸.·´¸.·´¨) ¸.·*¨)
(¸.·´ (¸.·´

Ehsaas Mein Shadeed Talatum Ke Bawjood

Ehsaas Mein Shadeed Talatum Ke Bawjood,
Chup Hoon Mujhe Sakoon Muyassar Ho Jaise..

(talatum;noise,unsmoothness)

(¯`v´¯)
`·.¸.·´ FASH FOREVER
¸.·´¸.·´¨) ¸.·*¨)
(¸.·´ (¸.·´

b Ke Hum Bichre To Shayad Kabhi Khwaabon Mein Milain

Ab Ke Hum Bichre To Shayad Kabhi Khwaabon Mein Milain
Jis Tarah Sukhe Huye Phool Kitabon Mein Milain

Dhoond Ujre Huye Logon Mein Wafa Ke Moti
Ye Khazane Tujhe Mumkin Hai Kharabon Mein Milain

Gham-e-Duniya Bhi Gham-e-yaar Mein Shaamil Kar Lo
Nasha Bardhta Hai Sharabein Jo Sharabon Mein Milain

TU Khuda Hai Na Mera Ishq Farishton Jaisa
Dono Insaan Hain Tou Kyun Hijabon Mein Milain ?

Aaj Hum Daar Pe Khainchay Gaye Jin Baaton Par
Kya Ajab Kal Wo Zamaanay Ko Nisaabon Mein Milain

Ab Na Wo Main Hun, Na TU Hai, Na Wo Maazi Hai “Faraaz”
Jaise Do Shakhs Tamannaa Ke Saraabon Mein Milain

 

 

 

Kisi ko pany ki justuju me

Kisi ko pany ki justuju me
Thakan se khud ko nidhal rkhna

Jb us se milna to kuch na kehna
Fqt nazr me sawal rkhna

Agr tmhen hy sukun ki khwahsh
To srf itna khyal rkhna

Nasib subh-e-uroj ho to
Nazr me sham-e-zawal rkhna

Ye sardion ki udas raten
Or uski yadon ki chandni

Khyal rkhna na bhigen ankhen
Zabt-e-gham me kmal rkhna

Jo tera ghm hy wo ghm hy mera
Tri khushi me meri khushi hy

Jo ho sky to khush hi rhna
Mri khushi ka khyal rkhna:

Kaha Tha Yaad Hai Tum Ne ?

Kaha tha yaad hai tum ne,
Ke main hoon chand,
Aur tum chandni meri,
Magar jab chand chup jaye,
Kaho phir chandni kesi ?

Kaha tha yaad hai tum ne,
Ke main hoon phool,
Aur tum phool ki khushbu,
Magar jab phool murjhaye,
Kaho khushbu bhala kesi,

Kaha tha yaad hai tum ne,
Ke main hoon dil,
Aur tum dharkan,
Magar dil toot jaye to,
Kaho phir dharknain kesi,

Kaha tha yaad hai tum ne,
Ke main hoon aas,
Aur tum zindagi meri,
Magar jab aas tootey to,
Kaho phir zindagi kesi…??

(¯`v´¯)
`·.¸.·´ FASH FOREVER
¸.·´¸.·´¨) ¸.·*¨)
(¸.·´ (¸.·´

Maar Do Jaan Se Koi Gham Nahin, Per Yeh Saza Mat Do

Maar Do Jaan Se Koi Gham Nahin, Per Yeh Saza Mat Do,


Ke Hamare Saamne Beth Kar Hum Ko Tum Ajnabi Se Lago..

 

(¯`v´¯)
`·.¸.·´ FASH FOREVER
¸.·´¸.·´¨) ¸.·*¨)
(¸.·´ (¸.·´

Mein Is Hisaar Se Nikluun Tou Kuch Aur Sochuun

Mein Is Hisaar Se Nikluun Tou Kuch Aur Sochuun
Tumhaaray Pyaar Se Nikluun Tou Kuch Aur Sochuun

Teri Gali Ke iLaawa Bhee Aur Qirye Hain
Jo Is Dayaar Se Nikluun Tou Kuch Aur Sochuun

Tumhaaray Hijr Ki Sadyaan Tumhaaray Vasl Ke Din
Mein Is Shumaar Se Nikluun Tou Kuch Aur Sochuun

Racha Howa Hai Tera Ishq Meri Pooron Mein
Mein Is Khumaar Se Nikluun Tou Kuch Aur Sochuun

Ye Mera Jism Ke Maatam Saraa-e-Hasrat Hai
Mein Is Mazaar Se Nikluun Tou Kuch Aur Sochuun

Ye Mujh Mein Kon Mere Raat Din Sambhaalta Hai ?
Is Ikhtiyaar Se Nikluun Tou Kuch Aur Sochuun

Tumhaari Jism Ki Khushbuu Ne Kardia Mas-hoor
Is Aabshaar Se Nikluun Tou Kuch Aur Sochuun

Ye Be-Qaraari Meri Rooh Ka Ujaala Hai
Mein Is Qaraar Se Nikluun Tou Kuch Aur Sochuun

Tum Jab Aao Gi Tou Khoya Hua Paao Gi Mujhey

Tum Jab Aao Gi Tou Khoya Hua Paao Gi Mujhey
Meri Tanhaayi Mein Khwaabon Ke Siwa Kuch Bhi Nahi

Meray Kamray Ko Sajaanay Ki Tamanna Hai Tumhain ?
Meray Kamray Mein Kitaabon Ke Siwa Kuch Bhi Nahi

In Kitaabon Ne Barra Zulm Kiya Hai Mujh Par
In Mein Ik Ramz Hai Jisme Ramz Ka Maara Hua Zehen

Muzda-e-Ishrat-e-Anjaam Nahi Paa Sakta
Zindagi Mein Kabhi Aaram Nahi Paa Sakta

(¯`v´¯)
`·.¸.·´ FASH FOREVER
¸.·´¸.·´¨) ¸.·*¨)
(¸.·´ (¸.·´

Meri Wafa Ne Khilaaye Thy Jo Gulaab Saray Jhulas Gaye Hain

Meri Wafa Ne Khilaaye Thy Jo Gulaab Saray Jhulas Gaye Hain
Tumhari Ankhon Main Jis Qadar Thy Wo Khwaab Saray Jhulas Gaye Hain

Meri Zameen Ko Kisi Naye Haadsay Ka Hai Intezaar Shayad
Gunah Phailnay Lagay Hain Ajar-O-Sawab Saray Jhulas Gaye Hain

Jo Tum Gaye Tou Meri Nazar Pe Haqeeqaton K Azaab Utray
Yeh Sochta Hoon K Kia Karoonga Saraab Saray Jhulas Gaye Hain

Yeh Moajza Sirf Aik Shab Ki Musafaton K Sabab Hua Hai
Tumharay Or Meray Darmiyaan K Hijaab Saray Jhulas Gaye Hain

Usay Batana K Uski Yaadon K Saray Safhay Jala Chuka Hoon
Kitaab-E-Dil Main Raqam Thy Jitnay Wo Baab Saray Jhulas Gaye Hain

Nazar Uthaon Mai Jis Taraf Bhi Muheeb Saaye Hain Zulmaton K
Ye Kia K Meray Naseeb K Mahtaab Saray Jhulas Gaye Hain

Tumhari Nazron Ki Yeh Tapish Hai K Meray Lafzon Pe Aablay Hain
Sawal Saray Jhulas Gaye Hain Jawab Saray Jhulas Gaye Hain

Yeh Aag Khamoshion Ki Kaisi Tumhari Aankhon Main Tairti Hai
Tumharay Honton Pe Darj Thy Jo Nisaab Saray Jhulas Gaye Hain

Habs-e-Duniya Se Guzar Jaatay Hain

Habs-e-Duniya Se Guzar Jaatay Hain
Aisa Kartay Hain Ke Mar Jaatay Hain

Kaisay Hotay Hain Bicharnay Waalay ?
Hum Ye Sochain Bhee Tou Dar Jaatay Hain

Dil Jo Tootay Tou Sar-e-Mehfil Bhi
Baal Be-Wajaa Bikhar Jaatay Hain

Ab Na Dekho Meri Banjar Aankhain
Charhtay Darya Tou Utar Jaatay Hain

Dhoop Ka Roop Rachaanay Waalay
Shaam Ko Aur Nikhar Jaatay Hain

Tum Kahaan Jao Ge Socho Mohsin ?
Log Thak Haar Ke Ghar Jaatay Hain

(¯`v´¯)
`·.¸.·´ FASH FOREVER
¸.·´¸.·´¨) ¸.·*¨)
(¸.·´ (¸.·´