Monthly Archives: March 2012

yeh lehja ye adawaat yeh tarz e wafa hamara

yeh lehja ye adawaat yeh tarz e wafa hamara,,,,,

smjh paoge to ulajh jaoge na smjho paoge to bikhar jaoge…..

Ho Na Jaye Husan Ki Shan Me Gustakhi kaheen..!!

Ho Na Jaye Husan Ki Shan Me Gustakhi kaheen..!!

Tum Chalay Jao K Tumhay Dekh k Pyar Ata Hy… ♥

Toofa’n ki lehro rukk Jao,ley Jao na Hum ko Saahil parr..

Toofa’n ki lehro rukk Jao,ley Jao na Hum ko Saahil parr..

kashti ki Qassam, Mojoun ki Qasam, Saahil pey Hamara koi nhe..

Tum ne aa kar mizaaj pooch liya,

Tum ne aa kar mizaaj pooch liya,

Ab tabiyat kahan sambhalti hai…

Behak kar baagh-e-jannat se chala aya tha dunia mein,

Behak kar baagh-e-jannat se chala aya tha dunia mein,

Suna hai baad mehshar phir usi jannat ki daawat hai.

Chala to jaon jannat mein magar ye soch kar chup hon,

Main Aadam zaat hon, mujh ko behak janay ki aadat hai…

Haaye Ye L0g Kh0obso0rat L0g..,

Haaye Ye L0g Kh0obso0rat L0g..,

Haaye Yeh Bhi Marr Jaayen Gay kiyaaa??.

Main bikhra howa hon jaga jaga mujh sai koe na tu sawal kar

Main bikhra howa hon jaga jaga mujh sai koe na tu sawal kar
Meri kirchiyan hain chahar soo inn pai rakh tu paon sambhal kar

Koe zakham ore na dai mujhay main hazar tookron main hon para
Meray jism-o-jaan k hijaab ko na apnay haathon paamal kar

Main rang-e-duniyan main thha bassa jab teri husti sai dooor thha
Yun smait lee main nay zindagi teray aik gham ko paal kar

Meray hum nafas mujhay dai saza teray payar main hon mubtila
Kochh teer dil per tu chala kochh ore seenay ko laal kar

Kabhi rasm-e-ulfat bhe tu nibah koe muskuraaiy tau muskura
Kabhi gham zadon ke khabar bhe laiy ashaq aphni ankhon main daal kar

Meray paishwar meray hum sufer dooor ja na mujh ko chhor kar
Main bhattuk raha hon idher udher mujhay ore tu na bay haal kar

Rehay charagar shaukat judda yunhi umer beeti khafa khafa
Ye rabt-e-ulfat ka khail thha na dil ko apnay nidhaal kar

Ay Kaash Tujhe Aisa Ik Zakhm-e-Judaai Dun

Ay Kaash Tujhe Aisa Ik Zakhm-e-Judaai Dun
Jab Tais Koi Chamkay Mein Tujhko Dikhai Dun

Jis Roz Kubhi Tera Deedaar Na Ho Paaye
Mein Apni Hee Aankhon Ko Naabeena Dikhai Dun

Magroor Hai TU Kitna Sirf Ik Sanam Ban Kar ?
TU Chaahay Tou Mein Tujhko Tan Man Ki Khudaai Dun

Tujh Sa Koi Dil Wala Mehsoos Karay Mujhko
Mein Geet Nahi Aisa Jo Sab Ko Sunaai Dun

Ik Umer Ke Baad Apnay Chit Chor Ko Pakra Hai
Mein Kaisay Qateel Osko Baanhon Se Rihaayi Dun ?

Tere Maathay Pe Jab Tak Bal Raha Hai

Tere Maathay Pe Jab Tak Bal Raha Hai
Ujaala Aankh Se Oojhal Raha Hai

Samaatay Kia Nazar Mein Chaand Taaray ?
Tasawwur Mein Tera Aanchal Raha Hai

Teri Shaan-e-Taghaaful Ko Khabar Kia ?
Koi Tere Lye Be-Kal Raha Hai

Shikaayat Hai Gham-e-Dauraan Ko Mujh Se
Ke Dil Mein Kiun Tera Gham Pal Raha Hai ?

Taajub Hai Sitam Ki Aandhion Mein
Charaagh-e-Dil Abhi Tak Jal Raha Hai

Lahoo Royein Gi Magrib Ki Fizaayein
Badi Tezi Se Sooraj Dhal Raha Hai

Zamaana Thak Gaya, Jaalib Hee Tanha
Wafaa Ke Raastay Pe Chal Raha Hai

Dil-o-Dimaag ko Ro Loongaa Aah Kar Loongaa

Dil-o-Dimaag ko Ro Loongaa Aah Kar Loongaa
Tumhaare Ishq Mein Sab kuch Tabah Kar Loongaa,

Agar Mujhe Na Milein Tum Tumhaare Sar ki Qasam
Main Apni Saari Jawaani Tabaah Kar Loongaa,

Mujhe Jo Dair-o-Haram Mein kaheen Jagah Na Mili
Tere Khiyaal Hi ko Sajdaagaah Kar Loongaa,

Jo Tum Se kar Diyaa Mehroom Aasmaan Ne Mujhe
Main Apani Zindagi Sarf-e-Gunaah Kar Loongaa,

Raqeeb Se Bhi Milongaa Tumhaare Hukm Pe Main
Jo Ab Talak Na kiyaa Thaa Ab Aah Kar Loongaa,

Tumhaari Yaad Mein Main kaat Doongaa Hashr K Din
Tumhaare Hijr Mein Raaten Siyaah kar Loonga,

Hareem-e-Hazrat-e-Salamaa ki Simt Jaataa Hoon
Howa Na zabt To Chupake Se Aah Kar Loongaa,

Yeh Naubahaar Yeh Abr-o-Hawaa Yeh Rang-e-Sharaab
Chalo Jo Ho So Ho Ab To Gunaah Kar Loongaa,

kisi Haseenaa Kay Masoom Ishq Mein “Akhtar”
Jawaani kiya Hai Main sab kuch Tabah Kar Loongaa.