Umar bhar ka maan toota, aur kya

Umar bhar ka maan toota, aur kya,
Morr aya, sath choota, aur kya,

Kon sach kehta hai, sach sunta hai kon,
Main bhi jhoota, tu bhi jhoota, aur kya,

Jaan se jaana zaroori to nahin,
Aashiqui mein sar to phoota, aur kya,

Rote huye laal pathar ho gaye,
Rafta rafta rang choota, aur kya,

Reh gaya tha yaad ka rishta faqat,
Akhrish yeh pul bhi toota, aur kya,

Us ki ankhain bhi kabhi sach bolti’n,
Dil to tha jhooton sa jhoota, aur kya,

Ghair to they ghair apne aap ko,
Sab se barh kar hum ne loota, aur kya,

aao dekho to zara baagh-e-wafaa,
Ab koi gul hai na boota, aur kya,

Fitna samaani mein yaksaan hain Faraz,
Apna dil ho ya kahuta, aur kya..

About fazishona

Man With One Dream

Posted on August 9, 2012, in ahmed faraz. Bookmark the permalink. Leave a comment.

Leave a comment